Pedon ke peeche se dhalta suraj
aur kokila ke madhur geet
mujhe teri yaad dilaten hain...
basant ke aagman ki pehli nishani
wo tesu ke khilte lal phool
mujhe teri yaad dilaten hain...
je bahlane bagh mein nilki tou
khate meethe swad liye , amrai nei
phir teri yaad dilayi hai....
peeche mud kar sarwar tath par dekha
"prem leen hanso ka joda "
unko dekh, aaj phir se
mujhe teri yaad aayi hai ...
din gujra aur raat hui
diye ki baati lau bikhere hai
deepak ki yeh priyasi baati bhi
mujhko teri yaad dilati hai....
tanha man, sagar tath pahuncha
lehron ka bhi , kinara saathi hai
sirf ek akela mein hi hoon yahan
mujhe teri yaad satati hai....
ab chautha pahar dhalne ko hai
aur rajni nei li angdai hai
phir tanhai ka ehsaas hua
phir mujhko , teri yaad aayi hai !!
Sunday, December 28, 2008
Saturday, December 27, 2008
bandishen
aaj yun hi bethe they hum..
tumko yaad karte hue
gujre lamhe palkon mein samete
ho kar yaadon mein teri gum....
aaj yun hi bethe they hum !!
keh rahe they khud se jo
wo alfaj bhul bethen they hum
sun rahe they tumse jo
un saanson mein ..hue gum
sayad un dhadkano se...
pyar kar bethe they hum !!
tumko yaad karte hue,
aaj yun hi bethe they hum....
wo tumhara naraz hona
aur humara tumhe rok lena...
na jane kis kashmakash mein tum,
na jane kis bandish mein hum....
yun laga mano , jahan mil gayaya ...
yeh jahan ho gaya ho gum !!
tumko yaad karte hue,
aaj yun hi bethe they hum....
sochten hai , wo pal jo yeh pal laya hai
saugaat aisi hazaaron laye.,
aur apne saanson se ...
dhadkane meri bhar do tum
aur kabhi ho kashmakash mein hum...
tou bandishen humari ..phir khol do tum !!!!
tumko yaad karte hue
gujre lamhe palkon mein samete
ho kar yaadon mein teri gum....
aaj yun hi bethe they hum !!
keh rahe they khud se jo
wo alfaj bhul bethen they hum
sun rahe they tumse jo
un saanson mein ..hue gum
sayad un dhadkano se...
pyar kar bethe they hum !!
tumko yaad karte hue,
aaj yun hi bethe they hum....
wo tumhara naraz hona
aur humara tumhe rok lena...
na jane kis kashmakash mein tum,
na jane kis bandish mein hum....
yun laga mano , jahan mil gayaya ...
yeh jahan ho gaya ho gum !!
tumko yaad karte hue,
aaj yun hi bethe they hum....
sochten hai , wo pal jo yeh pal laya hai
saugaat aisi hazaaron laye.,
aur apne saanson se ...
dhadkane meri bhar do tum
aur kabhi ho kashmakash mein hum...
tou bandishen humari ..phir khol do tum !!!!
pal pal
pal pal jo beetien teri yaad mein
har pal ko laga tum saath ho,
har pal paya tumko meine,
har pal ke tum ehsaas ho...
pal pal ko socha tumko hai
har pal dil ki dhadkan tum ho
har pal mein paya tumko hai
har pal jeevan ka aabhas ho
pal pal ko mein pal ginti hun
har pal ka tum intezaar ho
har pal yun hi bas chahti hun
har par yun hi tum saath ho !!
har pal ko laga tum saath ho,
har pal paya tumko meine,
har pal ke tum ehsaas ho...
pal pal ko socha tumko hai
har pal dil ki dhadkan tum ho
har pal mein paya tumko hai
har pal jeevan ka aabhas ho
pal pal ko mein pal ginti hun
har pal ka tum intezaar ho
har pal yun hi bas chahti hun
har par yun hi tum saath ho !!
khawhish
ek ehsaas adhura sa
ek pyaas puri si...
tadap janam bhar ki
kwahish umar bhar ki
tum aaye yun..ki laga
tamanna hui puri si
is bechen arma ki....
kwahish umar bhar ki
maru par giri jo thi
wo bund alkeli si..
tujhme simat si gayi....
kwahish umar bhar ki
palken munde to laga
thi sapno ki jhadi si...
palkon ke tale, chupi...
khawhish umar bhar ki
ek pyaas puri si...
tadap janam bhar ki
kwahish umar bhar ki
tum aaye yun..ki laga
tamanna hui puri si
is bechen arma ki....
kwahish umar bhar ki
maru par giri jo thi
wo bund alkeli si..
tujhme simat si gayi....
kwahish umar bhar ki
palken munde to laga
thi sapno ki jhadi si...
palkon ke tale, chupi...
khawhish umar bhar ki
Meera ka maan
Jindagi thi madhyam madhayam...
Dhimi si raftaar liye,
Jaane kaun dagar se aaye ...
Tum thoda sa pyar liye!!
Badal gaya duniya ka manjar....
Purwa aayi bahar liye,
Chaa gayi haryali is banjar....
Basant ka guman liye !!
Jindagi thi madhayma madhyam..
Dhimi si raftaar liye,
Jaane kaun dagar se aaye...
Tum thoda sa pyar liye !!!
Chor diya wo mahal chawbara...
Jyun MEERA ka maan liye,
Rum gayi mein bhi ... ban kar jogan,
Kesaria maan thaam liye !!!
Dhimi si raftaar liye,
Jaane kaun dagar se aaye ...
Tum thoda sa pyar liye!!
Badal gaya duniya ka manjar....
Purwa aayi bahar liye,
Chaa gayi haryali is banjar....
Basant ka guman liye !!
Jindagi thi madhayma madhyam..
Dhimi si raftaar liye,
Jaane kaun dagar se aaye...
Tum thoda sa pyar liye !!!
Chor diya wo mahal chawbara...
Jyun MEERA ka maan liye,
Rum gayi mein bhi ... ban kar jogan,
Kesaria maan thaam liye !!!
missed call !!
Aaj phir kalam uthane ka dil kiya
aaj phir kuch likh jane ka dil kiya
pal bas us pal ...
jab dil dhadk sa gaya
tumhara missed call dekh kar
mera heart ek beat skip kar gaya
moblie hathon mein liye sochti rahi
aur phir ,
bina soche tumhara number dial kiya
udhar se ek shant sa hello sun kar
dhere se meine khud ka naam liya...
ghabra kar , hichkakar....pucha tumse
"kaho, aapne phone kyun kiya..."
"bas yun hi, kuch khas nahi.."
keh kar tumne phone rakh diya
kitna kuch tha ,
us " kuch nahi " mein
jisne mere man ko bekal sa kar diya
khayalon mein tere khoi rahi
andhere mein mano jala ho koi diya
pal bas us pal ...
jab dil dhadk sa gaya
tumhara missed call dekh kar
mera heart ek beat skip kar gaya !!
aaj phir kuch likh jane ka dil kiya
pal bas us pal ...
jab dil dhadk sa gaya
tumhara missed call dekh kar
mera heart ek beat skip kar gaya
moblie hathon mein liye sochti rahi
aur phir ,
bina soche tumhara number dial kiya
udhar se ek shant sa hello sun kar
dhere se meine khud ka naam liya...
ghabra kar , hichkakar....pucha tumse
"kaho, aapne phone kyun kiya..."
"bas yun hi, kuch khas nahi.."
keh kar tumne phone rakh diya
kitna kuch tha ,
us " kuch nahi " mein
jisne mere man ko bekal sa kar diya
khayalon mein tere khoi rahi
andhere mein mano jala ho koi diya
pal bas us pal ...
jab dil dhadk sa gaya
tumhara missed call dekh kar
mera heart ek beat skip kar gaya !!
Friday, December 26, 2008
sadiyaan beetin..
Sadiyan beetin bhul gaye hum
Phir bhi kyun tanhai mein...
Dil ki is gehrai mein..
Dhundhta hai dil tera chehra
Yaadon ki parchai mein !!!
Sadiyaan beetin bhul gaye hum.....
Wo jo ruswa kiya is dil nei,
Wo jo ruswa hue mehfil mein..
Dhundhla- dhundhla....bujha - bujha sa
Manjar yaad raha manjil mein !!
Sadiyaan beetin bhul gaye hum...
Jab gujren un raahon se hum
Mil kar apne maajhi se
Tab samjhaya, khud ko humne,
Yaaden tou bas .... yaaden hain...
Khushbu si pheli rehti hai,
Jhehen ki surmaii mein !!!
Sadiyaan beetin bhul gaye hum.....
Phir bhi kyun tanhai mein...
Dil ki is gehrai mein..
Dhundhta hai dil tera chehra
Yaadon ki parchai mein !!!
Sadiyaan beetin bhul gaye hum.....
Wo jo ruswa kiya is dil nei,
Wo jo ruswa hue mehfil mein..
Dhundhla- dhundhla....bujha - bujha sa
Manjar yaad raha manjil mein !!
Sadiyaan beetin bhul gaye hum...
Jab gujren un raahon se hum
Mil kar apne maajhi se
Tab samjhaya, khud ko humne,
Yaaden tou bas .... yaaden hain...
Khushbu si pheli rehti hai,
Jhehen ki surmaii mein !!!
Sadiyaan beetin bhul gaye hum.....
jab tum yaad aaye
jab chayi ghata
tum yaad aaye
ghara hua saya ,
to tum yaad aaye
khaamoshi ke yun badal ghire ,
ki humne phir tum yaad aaye
pathrili rahon se gujrate hue
jab kadam thartharaye
thak kar bethe kahin hum
aur humen , tum yaad aaye
anjaani manjilon par
mile kai naqabposh saaye
par himmat na haari humne
jab jab humen, tum yaad aaye !!
tum yaad aaye
ghara hua saya ,
to tum yaad aaye
khaamoshi ke yun badal ghire ,
ki humne phir tum yaad aaye
pathrili rahon se gujrate hue
jab kadam thartharaye
thak kar bethe kahin hum
aur humen , tum yaad aaye
anjaani manjilon par
mile kai naqabposh saaye
par himmat na haari humne
jab jab humen, tum yaad aaye !!
thaka hua ek musafir.....
ek tees si uthti hai
ek dard sa hota hai
tere pyar mein yeh dil
kabhi hansta hai
tou kabhi rota hai
tu haath mera thaam le
yeh guma har pal hota hai...
par jab tees si uthti hai
yeh dil phir se rota hai
jindagi mein na jane kyun
ek mod esa bhi hota hai
rahon par chalte huemusafir
rasta bhi khota hai
manzil jab dhundhli ho
tou rasta bhar hi hota hai
takha hua ek musafir
meel ke pathar par bhi sota hai !!
ek dard sa hota hai
tere pyar mein yeh dil
kabhi hansta hai
tou kabhi rota hai
tu haath mera thaam le
yeh guma har pal hota hai...
par jab tees si uthti hai
yeh dil phir se rota hai
jindagi mein na jane kyun
ek mod esa bhi hota hai
rahon par chalte huemusafir
rasta bhi khota hai
manzil jab dhundhli ho
tou rasta bhar hi hota hai
takha hua ek musafir
meel ke pathar par bhi sota hai !!
Maru Mrigya.....
Kashmakash mein hoon aise
Ki raah na sujhe koi
do raahe par aa kar
bhatki aur khoi khoi
khud ko khud se juda kar
usme thi aash sanjoyi
begani si bheed mein
apna sa laga tha koi
mrigtrishna thi shayad
reth par jaise "chilka" ho koi
bawri si chal padi mein
maru mrigya jo khoi !!
Ki raah na sujhe koi
do raahe par aa kar
bhatki aur khoi khoi
khud ko khud se juda kar
usme thi aash sanjoyi
begani si bheed mein
apna sa laga tha koi
mrigtrishna thi shayad
reth par jaise "chilka" ho koi
bawri si chal padi mein
maru mrigya jo khoi !!
kulhad wali chai
Iss mausam se uss mausam tak
saal - mahine nikal gaye...
uss jaade se is thandi tak
mausam kitne badal gaye !!
ek wo din tha sardi ka
jab dil " gunguna " sa tha , haey !
ek yeh subah hai kohre ki..
lage jyun andheron ke saaye !!
palchin palchin, mausam mausam
badal gayi duniya aur manzar ..
ek wo fursat aur " kulhad " wali "chuski"
ek yeh " business meeting" ki chai, haey !!
is mausam se us mausam tak
saal mahine nikal gaye
us jaade se, is thandi tak
mausam kitne badal gaye !!
saal - mahine nikal gaye...
uss jaade se is thandi tak
mausam kitne badal gaye !!
ek wo din tha sardi ka
jab dil " gunguna " sa tha , haey !
ek yeh subah hai kohre ki..
lage jyun andheron ke saaye !!
palchin palchin, mausam mausam
badal gayi duniya aur manzar ..
ek wo fursat aur " kulhad " wali "chuski"
ek yeh " business meeting" ki chai, haey !!
is mausam se us mausam tak
saal mahine nikal gaye
us jaade se, is thandi tak
mausam kitne badal gaye !!
Subscribe to:
Comments (Atom)