Wednesday, February 4, 2009

Udaan

Ek khwabon ki udaan hai
Armaano ke pankho par....

Ek dil ki daastaan hai
Thartharate in adhron par...

Kis mod par pahunche hai
Kis manzil tak jana hai
Meelon ki duriyaan
Palkon mein samana hai

Ek khwabon ki udaan hai

Is chandan ka sparsh hai
Us mrigya ki gati hai
Kasturi-gandharika sa
Sama mein samana hai

Ek khwabon ki udaan hai
Ek dil ki daastaan hai.....

2 comments:

  1. Teri sochen,
    tere alfaazon main jab dhalti hain,
    koi aks banta hai.

    Mujhe pahchana sa lagta hai,
    suna sa ansuna sa kuch,

    wo koi shakhs banta hai,
    kisi ka aks banta hai....

    Luv your writing.

    Keep writing Kanchan....

    ReplyDelete
  2. Kitne Dard Hai, Hamaray Siva Koun Jaanay
    Humaaray Jo Naseeb Hain, Khuda K Siva Koun Jaanay
    Aitbaar Unpar Kiya Tha Khud say Zyaadah
    Is baat ki gahraai Woh Kya Jaanay

    Ek diya banker jo raho ko roshan karne nikle…
    Aandhiya bankar kuch log usee bujhane nikle…

    Andaz apne dekhte hain aaine me wo…
    Aur yehbhi dekhte hai ke koi dekhta na ho…

    ReplyDelete